Bekhayali_Arjith Singh_Lyrics



Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye,

Kyun bichhadna hai zaroori? ye sawaal aaye,

Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi

Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye,

 

Main jo tumse door hoon

Kyun door main rahoon

Tera guroor hoon

Aa tu faasla mita

Tu khwaab sa mila

Kyun khwaab tod doon oo..

 

Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye

Kyun judaai de gaya tu, ye sawaal aaye

Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se

Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye

 

Hai ye tadpan, hai ye uljhan

Kaise jee loon bina tere

Meri ab sab se hai annban

Bante kyun ye Khuda mere

 

Ye jo log-baag hain

Jungle ki aag hain

Kyun aag mein jalun

Ye nakaam pyaar mein

Khush hain haar mein

Inn jaisa kyun banun oo...

 

Raatein dengi bata

Neendon mein teri hi baat hai

Bhoolun kaise tujhe

Tu toh khayalon mein saath hai

 

Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye

Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye

 

Nazar ke aage, har ik manzar

Ret ki tarah bikhar raha hai

Dard tumhaara badan mein mere

Zeher ki tarah utar raha hai

 

Nazar ke aage, har ik manzar

Ret ki tarah bikhar raha hai

Dard tumhaara badan mein mere

Zeher ki tarah utar raha hai

 

Aa zamaane aazma le roothta nahin

Faaslon se hausla ye toot'ta nahin

Naa hai woh bewafa aur na main hoon bewafa

Woh meri aadaton ki tarah chhoot'ta nahin

Watch on YouTube...